Off Page Seo Search Preference Blogger Setting ( Hindi )

Seo Search Preference Blogger Setting

Best Seo Search Preference Blogger Setting

How To Do Off Page Seo Search Preference Blogger Setting: Seo Tips ki series me aapke liye mai phir se lekar aaya hu ek new Article jisme aapko Blogger Setting ke kuch options ko btaane jaa raha hu. Aaj ki post me ham Blogger Search Preference ke option ko Fully Describe karenge, Jisme aapko mai clear karne wala hu sabhi option ko wo bhi easy language me.

Jyada samay naa lete hue ham apne post ko aage lekar chalte hai. Us se pahle mai aapko btana cahunga ki agar aapne Is se pahle wala Seo Tips post nahi padha hai to aap yha se directly padh sakte hai.

Also Read: How To Do Off Page SEO On Blogger ( Hindi )

OFF PAGE SEO SEARCH PREFERENCE SETTING

Ab ham apne steps ko suru karne jaa rahe hai. Aap sabhi in baato ko achhe se padhe, Ek chhoti si galti aapki Blog ki Rank ko niche girra sakti hai.

META TAGS

Description: Isme aapko aapki site ka meta description dena hota hai jo Google Index ke time kaam aata hai. Meta Description me aap Maximum 150 characters ka hi Description include kare. Is se Jyada karne par aap Seo score ko kam kar sakte hai.

ERRORS AND REDIRECTIONS

Custom Page Not Found: Isme aap apna khud ka custom page design karke yha uska source code paste kar sakte hai. Jab bhi aapki site me koi error ya invalid link hoga to tab wo Page aapki site par show karega. Isme aap Codding Tags bhi de sakte hai.

Blogger Search Preference Setting

Custom Redirects: Is option ka istemaal apne blogger ke Seo ke liye kaafi helpful hota hai. Isme aap apne invalid ya removed URL ko kisi new url ke sath link kar sakte hai. Jis se apne Visitors ko koi preshani naa aaye.

CRAWLERS AND INDEXING

Is Option ko describe karne se pahle aap sabhi se request hai ki is Step me aap koi mistake na kare.

Google Search Console: iske baare me aapko jyada yha mai bta nahi paaunga. But Google Search Console me aapko apni Website register karne ke baad hi Google Bots aapki Site ko Index karne me madad kar payega. Is topic par mai aap sabhi ke liye ek seprate post jarur bnaaunga, jisme aapko fully information mil paayegi.

Custom Robots.txt : Waise to aapki site ke har ek option ka apna kaam hai aur importance hai. But agar aap Robots.txt ko achhe se handle kar lete hai to aapki site ka Post Rank kam nahi hoga.

Off Page Seo Setting For Blogger

Yha mai aapko Default Custom Robots txt file dene jaa raha hu jo filhal maine istemaal kiya hua hai, Aapko isko yahi se copy paste karke apne Robits.txt ko change kar sakte hai.

User-agent: Mediapartners-Google
Disallow:
User-agent: *
Disallow: /search/
Disallow: /category/
Disallow: /tag/
Allow: /
Sitemap: https://yourbloggeraddress.com/atom.xml?redirect=false&start-index=1&max-results=150


Note: yourbloggeraddress.com ki jagah aap apna url address likh kar submit kare.

Custom Robots Header Tags : Agar aapko Robots Txt ke baare me information hai to aap is option ka istemaal karne hai, Otherwise isko Disable hi rahne de. Kyonki ek chhotti si galti aapka career uda sakti hai…

MONETIZATION

Custom Ads.txt : Is option ka istemaal tab kiya jata hai jab aapka Blogger Adsense approve ho jata hai. Jab aapka blog Adsense Ready ho jata hai to Us account me aapko Ads.txt file code milega jisko aapko apne blog ke is option me Add karna hai.

Aasha karta hu aapko aaj ka article achha lagaa hoga. Agar aapko ye Article achha lagaa hai to isko jyada se jyada share kare.

#helpinhindi #helpinhindiblog #helpinhindi.in

2 thoughts on “Off Page Seo Search Preference Blogger Setting ( Hindi )”

Leave a Comment