Google Blogger Par Google Adsense Approval Kaise Le

Google Blogger Par Google Adsense Approval Kaise Le

Blog Par Google Adsense Kaise Milta Hai


Google Blogger Par Google Adsense Approval Kaise Le
: In dino har koi Google Adsense ke Account ko approval dilwane ke liye lage hue hai. Har ek person jo Blogger se paise kamaana cahta hai wo khud cahta hai ki mere koi paise bhi naa lage aur ache se mera blogger adsense se approve bhi ho jaaye.

Kyaa aap bhi kuch aiesa hi sochte hai?

Too aaj mai aapke liye lekar aaya hu Google Adsense ki Series me apna ye Article, Jisme mai aapko Google Adsense ko kis tarah se Approve karvaya jata hai us par baat karenge.

Us se pahle aap hamare pichle articles ko jarur padhe jisme maine aapko Google Adsense Guide aur How to Create Adsense Account ke baare me jankari di hai. Google Adsense ko approve karvaane me aapko aasaani bhi ho sakti hai aur muskil bhi aa jaati hai, Wo depend krta hai aapke SEO par aur khaskar aapke Content par jo aap dete hai.

Google Adsense ko Approve karvane ke liye Requirements

Jaisa ki aap sabhi jante hi hai ki Adsense Account aaj ke samay me Approval karvane ka Kaafi jyada Competition ho gya hai. Aur sath hi uske liye Alag alag platform kaa bhi istemaal hona suru ho gya hai. Jisme aap Apna Adsense Approval le sakte ho.

Which Platform you’re using?

Google Adsense ka Approval lene se pahle aap apne Platform ko check kar le ki aap konsa platform istemaal kar rahe hai. Aapko uske hisab se sabhi setting karni padti hai.
Mai yha Blogger istemaal kar rha hu jo Google Ne Provide kiya hua hai to mai aapko iske baare me hi jaankari dunga.
WordPress walo ke liye bhi same hi Conditions hai koi jyada bdaa change nahi hai.

Requirements

  • Custom Domain
  • Platform [ WordPress/ Blogger ]
  • Google Adsense Account
  • Custom Blogger Template [ Ads/Seo Friendly ]

Blog me Google Adsense Approval lene ki Step

How to Get Google Adsense Approval on Blog me abhi ham unhi baato par charcha karne jaa rahe hai jinko aapko dhyaan rakhna hai.
Yha mai aapko 2 Categories ke andar samjhaaunga jisme aapko jo karna hai aur jo nahi karna hai.
Dhyaan rahe mai yha aapko apne Experience ke hisab se Points ko btaaunga agar aapko koi aur points ka ptaa hai jo Adsense ke liye helpful hai wo aap Comment me de sakte hai. Use jald hi Post me Edit kiya jayega.

Whatever to do.

Aapko sabse pahle Apne Blogger/Wordpress me apna Blog create kar lena hai. Jisme aapko ab Kuch Setting bhi karni pdegi aur Kuch baato ka dhyaan bhi rakhna padega.

✓ Aapko Sabse pahle ye baat dhyan rakhni hai ki Adsense Ka Approval lene ke liye jaldbaazi nahi Patience ki jarurt hoti hai.

✓ Aap pahle apna ek Blog bnaaye aur usme ek Ads Ready / Seo Friendly Template lgaaye.
Mai aapko ek Template ke baare me suggest karunga jo halanhi me maine apne Blog me Publish ki hai.
Aap isko apne Blogger me lgaaye.

✓ Aapke paas apna ek Custom Domain hona jaruri hai Otherwise aap Adsense Approval nahi le sakte. Agar aapke paas Custom Domain hai to Bahut badhiya agar aapke paas nahi hai to mujhe comment karke btaaye mai aapko Free Domain 1yr ke liye kaise Create kare us par ek Article likh de dunga.

✓ Ab Aapko apne blogger Setting me jakar Title / Description / Meta Tags / Set Custom Domain / Robots.txt Setting / Google Console par account create karke Apna Domain Verity kar lena hai.

✓ Google Console me jab aap apna account Signup kar rahe hai to Uske Verification code ko Apne theme me jakar paste kare aur wha apna SiteMap Generate kare.

✓ Ab ham post ke Related kuch sawaalo ke jawab dekhte hai.

QnA Section

1. Ek Adsense Account ko approve karvane ke liye Seo Jaruri hai?
Answer:  Aapko apni Adsense ko yaa apne page ko rank karne ke liye Seo jaruri hai. Agar sirf aap adsense apporve lena cahte hai to aap Seo par dhyaan na de.

2. Google Blogger me Adsene Approve karvane ke liye kitni post likhni cahhiye?
Answer:  Minimum aapko recommend karunga ki aap apne blog me 20+ Post ko hi rakhe. Jo Unique ho khud ki likhi hui, kisi ka copy kiya hua Article par Adsense Approve nahi hota.

3. Google Adsense ko Approval karvane me Post ki Length kitni honi cahhiye?
Answer:  Agar aapko ek acha Seo Friendly post bnaana hai to aap uski Length minimum 400+ Words ki rakhe.

4. Kya Google Adsense Account ko Approve karvane ke liye Domain ka Purchase karna jaruri hai?
Answer:  G Bilkul ! Aaj ke samay me aapko custom domain purchase karna jaruri hai. Wo us par jaldi se Approval bhi aapko mil jata hai.
Blogspot.com Se Direct approval aaj ke samay me band ho gya hai, us option ko kholne ke liye aapko Koi pta nahi kitna time lage.

5. Google kon kon si Language Support karta hai Adsense Approval dene ke liye?
Answer:  Yhaa aapko mai btana cahunga ki Agar aap Indian hai aur English / Hindi / Hinglish Language jante hai to aap inme se koi bhi language choose karke Apna Blog Article Bnaa sakte hai.

6. Adsense Approval ke liye domain kitna purana hona cahhiye?
Answer:  Domain ka kuch din purana hona bhi maaine karta hai. Domain ko agar aap 15 20 din ke baad apne blog ko ready krne ke baad lgaate hai to kaafi achha rahega.

7. Blogger/Wordpress me Unique Articles kaise likhe?
Answer:  Unique Articles ke liye aapko ek aiese niche or topic par kaam karna hai jis par aapko Freemind bhi likh sako. Sirf aapko apni language ko choose karna hai aur likhna suru kar dena hai.

8. Kya Spinner/Rewrite Articles par Approve mil sakta hai?
Answer:  G Nahi ! Aap aiesa karke apne time ko waste kabhi naa kare. Aap apna khud ka article likh kar hi post kare.

9. Kya Adsense .in domain ko Approval deta hai?
Answer:  Sure. Google Adsense .in ko bhi approval deta hai aur maine liya bhi hua hai aap check kar sakte hai.

10. Google Adsense Approval lene ke liye kon kon se Pages bnane cahhiye?
Answer:  Uske liye aapko About Us / Contact Us / Disclaimer / Privacy Policy / Terms Of Services in sabhi Pages ki jarurt padegi.

11. Kya ham kisi aur ke Pages ki copy kare to kya wo Acceptable honge.
Answer:  Waise to mai aapko suggest karunga ki aap Khud ke hi bnaaye, par agar aap aiesa karte hai to usme Site Name aur URL ko change karke apni Pages me lgaaye.

12. Kya Adsense ko approval karvane ke liye Visitors ki jarurt hai?
Answer:  Aiesa kuch nahi hai. Aapko sirf unique aur jyada content ki jarurt hai.

Maine is post me kaafi sawalo ke jawab diye hai. Bahut se sawal rahte bhi hai jinko ham Next Articles me Discuss karenge. Ab aapko mai kuch Points Btaa du jo aapko Adsense Account ko apply karne ke baad nahi karne hai.

✓ Jab aap upar wali sabhi conditions ko pura kar leta hai aur Adsense ke liye apply kar dete hai to aapko Uske baad Jab tak adsense ka reply nahi aata tab tak koi bhi Template ke andar changing nahi karni hai..
Agar aapne kuch aiesa kiya to Under Construction ka Issue aapko Google De sakta hai.

✓ Jab aapne Apna Adsense Apply kar diya hai to tab se aapko har din 1 post jarur karni hai. Adsense Bots ko dikhna cahhiye ki Yha kaam chal rhaa hai.

✓ Agar aapne Apna Adsense account Apply kar rahe hai to New Number aur New Mail ke saath Apply kare jo ab tak Adsense me use naa hua ho.

In baato ka aapko dhyaan rakhna hai jo aapko nahi karne hai.

Some Searchable Keywords

  • blog me add kaise lagaye
  • how to apply for adsense on blogger
  • blog ko adsense se kaise jode
  • google adsense account approve kaise karaye
  • how to apply for google adsense
  • google adsense requirements
  • google adsense rules 2020
  • how to get google adsense approval

Agar post me aapko kuch samjh naa aaya ho yaa Post achi lagi ho to Comment Section me Comment jarur kare aur apne friends ko share ke.
Milta hu next time kisi aur topic ke sath, Tab tak ke liye Good Bye…

#helpinhindi #helpinhindiblog #helpinhindi.in

2 thoughts on “Google Blogger Par Google Adsense Approval Kaise Le”

Leave a Comment